Saturday, November 26, 2011

Tum Samjhe Hi Nahi


tum ne mujhse poocha, takleef hai? 
maine kaha dard hai , takleef nahi 
dono me fark bahut hai 
 tum samjhe hi nahi 

Ek khat likha tha tumko 
sirf chand alfaaz the
par on alfazon ke beech ke khalipan ko 
tum samjhe hi nhai 

kai baar jo dikhta hai wo hota nahi 
safed panne main bhi kai baaten liki hoti hain
tumnhe hi to siikhaya tha magar
tum samjhe hi nahi 

kya tumhe mere khalee khat mein 
boondon ke dastakhat nahi mile?
har boond ka tumse  hi rishta 
tum samjhe hi nahi 

boonden us din bhi thi, aaj bhi hain
us din baarish ki thi.. aaj nahi 
har raat ek hi kissa dohraya tha
 tum samjhe hi nhai 

maine apna ek chota  tukra 
tumhaare sirhaane chhora tha 
par na jane kabhi mujhe apna 
tum samjhe hi nahi

Tuesday, November 22, 2011

ateet ki awaz


Chah paana tumhko mere naseeb me na tha
Na chah paana mere hathon me nahi
Hai ke sirf dorahon pe chalna
Ya ki meri zindagi ka rukh kuch aur
Main Kaafi aage nikal chuka hun

Khali panne si thi meri zindagi
Tumhare dastakhat aaj bhi saaf hain
Tumhaare naam ke syahi ne
Kai  baar mujhe ranga hai
Main wahin aake phir ruka hun

Aaj jab mai aage barh chuka tha
Kya zaroori tha mujhe phirse pukarna
Kyu na mai tumhare sayye se door chala jaun
Chhor ke tumhe peeche
Main badi mushkil se sambhal chuka hun

Tumhari aakhon se aaj bhi utna hi
Dar lagta hai, sehem jata hun
Ke na dekho us nazar se mujhe
Jaise aakhri baar dekha tha
Tumhari zid ke aage har baar jhuka hun

Na thamne ki koshis karo
Tumhara chhoona kuchh ajnabi sa
Lagne laga hai kya karun
Tum bhi ajnabee hi to ho
Tumko bahut door , peeche chor chuka hun

Tuesday, November 15, 2011

Safed Lifafa....



Ek  safed lifafa, khali
Band karke chhor aaya
Na likha koi pata ispe
na hi likh paya  koi naam
Par pata tha kise bheja hai

Na thi ummeed kisi jawaab ki
Par dil se bheja tha
Kalam ki syahi ka rang nahi mil raha tha
Shayad isi liye kuch nahi likha
Aur chhor aaya

Kal jab aank khuli
Subah ke paigaam ke sang wapas aaya
Utna hi safed, utna hi khali lag raha tha
Par maano bahut bhari
Lage anchhua sa, par chhua hua

Darwaaze ke neeche se koi daal gaya hoga
Kaid karke inme kuchh pehchani si yaaden
Kuch jane se lamhe
Thori  khushbu peele phoolon ki
Aur thore se tum.....

Kaanch Ki Chawanni


 hai mili ek saugaat mujhko
choti hai par badi keemti
lage isse mai jag ko loot lun
armano se saji hui 
meri kaanch ki chawanni 

hai aath-dus sapne kharidne
aur do-char khawishen bhi
le jata hun ise main
dil ke kone wali dukaan pe 
meri  kaanch ki chawanni

na mila koi sapna na koi khwaish
lauta hun khaali haath
meri saugat kisi aur ko saugaat na lagi
akl ke wyapaario se thukrayi gayi
meri kaanch ki chawanni

jab mili thi to badi achhi lagi thi
par kisi ko iska mol nahi 
sab kehte hain phenk is kaanch ke kutkre ko
par mere liye sabse achhi 
meri kaanch ki chawanni

Tumhari Saugaat


Hai zameen par lete lete aaj 
aaj khayal aata mujhe
hai dard zara sa, par achha hai 
yun ke hai to yeh  tumhara hi 

kuch dard hum chah ke bhi na bhula pate 
kuch dard ke sath naate aise jur jaate
hai naata kuch jaise mera tumhara 
apne-pareye se kuchh naate 

hai dard magar mujhe pehchanta to hai 
kya jane ise chhor ke kuchh mile na mile 
diya tumne, tumhari hai nishani 
dard hi sahi,  hai to tumhara hi 

kuchh tum keh gaye, chubha, 
aur mujhe bolne ka mauka na mila 
hai meri ek baat aaj adhuri
bas itna sa maangu main sila 

hai aaj bhi us chubhan ka wasta 
ke tees usthi hai har us waqt 
jab wok baat bhulne ki koshish ki 
chubhti hi sahi, hai to tumhari hi 

is dard se mera nata puaraana hai 
hai dard magar bahut jaana pehchana hai 
khinch parti hai to yaad aata hai 
dard hi sahi , hai to tumhara hi

TUM...


seene ke shheshe main aakhon ki oos ki seelan 
dhundla sa kar chuki thi 
jab tumahara aana hua aur tum chhupke se 
dhundle se sheeshe pe 
apna naam like ke chale.....

The gumsum labon se alfaaz mukar chuke 
jab tumne apne hoton se
kuchh alfaas inme bhar daale
maano abr bhar diya ho mujh me 
meri rooh ko kuch apna kar chale...

na tha khud pe ikhtiyaar jab...
tum aaye aur kuchh yun mere kaano mein 
jaise khushi ki phuhaar bhar ke 
musj se mujh ko chura ke
khud se zyada mujhe apna kar chale

Thursday, September 15, 2011

Saugaat Laya hun

tere liye
raat ki chaadar orh kar
khaamosh lamho ki saugaat laya hun
tere liye.....

ateet  ta tohfa laya hun
laya hun mai ek puraani chitthi
jisme kuchh sachhe se jhooth
aur kuchh jhoote se sach hain
apni parchhaise maang kar
woh aakhri raat laya hun
khamosh lamho ki saugaat laya hun
tere liye....

sargam ka tohfa laya hun
hai gununate jhinguro  ki kuchh aawazen
jinse kabhi kuchh baaten ki thi
jinki kuchh baaton ko aaj bhi yaad rakha hai
barish ki aawazon ka sangeet
hatheli ki dibii main barsaat laya hun
khaamosh lamho ki saugaat laya huan
tere liye....

Eksaas ka tohfa laya hun
laya main kuchh mehki saasen
mehek jisme thi un dino ki
jab hum-me tum-me aur bhi kuchh tha
berangi kapron me lipte hue bararatiyon sang
aakhri baar apni baaraat laya hun
khaamosh lamho ki saugaat laya hun
tere liye...

Monday, September 5, 2011

Mutthi Bhar Akaash


Na chah koi mahelon ki 
Na hai koi mehengi khwaish 
bas chahun mai ek appna sa kona 
jo rahe rahe hamesha mere paas
phir mai udna chata hun lerkar
 mutthi bhar aakaash 

raushni chahe thori ho 
par ho woh meri apni
kishton me hi sahi mile khushiyan 
par laye wo apna ehsaas
samet ke,  gehreri sason me bharkar 
mutthi bhar aakash 

rang birange sapno se bharke 
har kona jiska saja hua 
aisa ek chhota sa dibba 
jisme mujh-jaisa ho abhaas 
indradhanush ke rangon se bhara rahe 
mutthi bhar aakash 

sharton ki nagri se door kahin 
ho aisi choti si ik duniya
jahan mai khud ke jaisa ban sakun 
khushi na karni ho talash 
pankh me bharke khushi se le chala
mutthi bhar aakash

Hai sirf ek sapna 
par hoga sach kabhi to 
na tab mai jeeunga duniya ke taur se 
na karna hoga mujhe bardasht
mai azadi ke paron se napunga 
muthhi bhar aakash

Sunday, September 4, 2011

ke woh muskuraye

dharkanon ko tez ho jane do
na roko kisi bahaav ko, behne do
sannaate ko cheerti ek awaz ne mujhe bulaya
aur bhar dala meri god ko sitaron se
hai sitaron ki chamak kuchh aaj zyada
ke woh muskuraye

sukoon ki neend wo soyenge aaj
aur me jagta dekhunka un soti aakhon ko
us muskurahat bhari neend ko
us raat ke saundhi khushbu to churali unse
us khushbu ki pukaar hai aaj kuchh zyada
ke woh muskuraye

hai aaj poora hua ek sapna
ahi kuchh khawishon ko pankh mile
yun ek baat se kai baaton ki aaj
hai har shuruaat me ek unki yaad
har baat ki yaad aaj hai kuchh zyada
ke woh muskuraye



Saturday, September 3, 2011

Sard

mere toote hue sheeshe ka ek tukra
hai aaj bhi tumhaare pas
shayad tumhe usme aaj bhi mai dikhta hun
shayad tumhaari parchhai kuch mujh-si hai
hai inta sard ye inkaar tumhara
ki sunn kar gaya mujhko
hum wahi khara aaj bhi tanha
khunki thandi ret pe koi nhai chalta.....



us rumal ki gaanth ko khol do
jisme tumne mujhe thora sa baadha hai
kahin kuchh aaj bhi hai atakta hua
jaise ghunt ho kisi kusoorwar ka
barfeeli saason se tumne mujhe
thanda kar ke chhor diya
is haal me hun ki kaanp bhi na saku
na koi thamta hai thande haton ko




Sunday, August 28, 2011

Benaam

ek adhoora panna.....
hain usme kuch baaten likhni baaki
kuchh kisse aur hain sunane

yeh na poocho ke panna adhoora kyu hai
bas tham gyaa hai smaay ki tarha
samjho har aghaaz ka anjaam nahi hota
hai kuchh baathen aur bhi baaki
hai kuch pyar ke rishte na samjhe hue
har mohobbat ka, mohobbat naam nahi hota

is deewanagi ka deewanapan bhi kaisa ajeeb hai
asuon se sab dur bhage, mujhe inse koi gila nahi
kushi se muskurana hi ishq ka ayaam nahi hota
hai thehri ghariyon ka mohtaaj mera waqt...
chalte jana, kisi ko peeche chor, muje na ata
bhul jane ki fitrat ka mohobbat naam nahi hota

Jiske ane ka ilm ho jaye, use muhobbat nahi kehte
jiske jaane ka ilm na ho use mohobbat nahi kehte...
kuch logon ka alfazon me paigaam nahi hota
hai kya bandhna zaroori namon me is dil ki baton ko
kyuki har chahat me muhobbat ho zaroori hai
par har mohobbat me chahat ka naam nahi hota

Thursday, August 25, 2011

Wahi Puraana Pyaar



kuch tumhaari yadon ka ek kosh...
aj khola arse ke baad....
woh pehle jaisi kuchh baaten...
wo bhuli hui mohobbat ki yaad...
woh thandi thandi baaten tumhaarii
is dil ko thora karrar do
phir haathon se apne mere hoton ko choo kar...
mujhe wahi purana pyaar do...

.
Baaten na kehne ki aadat thi tumhaari
baaten samajhne ki aadat na mai badal paya
hai kahna tumse kuch, ajao aaj phir
wohi adhura kissa maine aaj phirse hai dohraya
likhe they kai khat tumhe, par bheje nahi,
kyu tum na kabhi unko mujhse maang lo
kabhi apni saason se mujhe saans dekar
mujhe wahi purana pyaar do ...

hai na harkat koi...na hai koi aahat
bas ek chaah reh gayi hai adhoori
thi meri khuch farmaishen tumse
kuch ankahi baaten thi zaroori...
it toote soot me bikhre moti sambhale
tumharii har bhooli baat kot dhond ke deta hun piro
merei khaamosh aawaz me apni aawaz bhar ke
mujhe wahi purana pyar do

Wednesday, August 24, 2011

aaj ghar jaane do




jaate jaate kadomon ko na roko

alwida kehte mujhe na toko...

waqt thamta nahi phisala jata hai

mere aashiyana mujhe bulata hai....

teri bandish mujhe kheenche apni or..

na chah ke is ghadi ko deta hun mai tor...

zid na karo kadam badhane do

aaj ghar jaane do


raushani sirf nahi.. raushan karti

kuchh ghar andhere me bhi raushan hote hain...

kuchh baaten bataiyi nahi jaati

kuchh afsaane khamoshi hi bayaan hote hain....

na roko mujhe mai aage nikal chuka hun

takleef hui hai jitni baar bhi mai ruka hun

ek mauka chahiye, mujhe samjaane do

aaj ghar jaane do


hosh hai bhi... aur nahi bhi.......

chain nahi hai .. par hai bhi....

parchhaiyon ko choo jane do...

tanhayin ko rooh me smaane do

mujhe apne paas na aane do...

aaj ghar jaane do....


ghar jane do aaj na bulao mujhko

ghar jaane do aaj na rulao mujhko

ehsaas ke bediya aj tutne do...

tanhaiyi ka sukh mujhe lootne do

thora ho par mera ho

kabhi kabhi mujhe bhi thora roothne do

kuchh tum kaho..kuch mujhe farmane do

aaj ghar jaane do.....


hun na khuch mai tumse alag hokar

tumse door rat kategi rokar...

par jana hai mai na ruk paaunga

aisa kyu , phir kabhi batlaunga

aaj chhor do raat hone ko hai

mere sabr ka saamaan khone ko hai

aaj ki raat mujhe na pachhtaane do

aaj ghar jaane do


Phir kehta hun mujhe na roko

kehta hun mai aaunga

aaj jaane ki zid hai meri

sach kehta hun , kaaran hai, bataunga

bharosa rakkho, mujhe aaj jaana hai

mujhe laut ke tumhare pas hi aana hai

ab mai chata hun, itna keh paane do

aaj gha jaane do.....


Thursday, August 11, 2011

Tanha



raaten bheegi hui thi kabse

aaj nazar aaya?

har lamha mera dhoond dhoond ke

ik dhake me pirota hai

kya dil kisi ko yaad karta...

yan tanha tanha rota hai?


pal pal sansn ki taal pe ....kya jaante ho..

kiska nam sanjoya hai?

na yaad karna chah ke bhi

khali...khokla .. mehsoos hot ahai..

kya dil kisi ko yaad karta...

yan tanha tanha rota hai?


SAhil pe chalte chalte

REt pe paron ke disha kyu dhoondun?

Gayab kuch.. kuch halke dikhte...

Mushkil se kush rah batate

Pairon ke nishan us mor ko jaate

DHeemi dharkan tez karke

Neend me sirhaane bhigota hai....


boondon ka dastak meri aakhon se

ya ke ye barsaat ka aana?

kya sach me ye ahat kisi hi

ya is dil ko waham hota hai?

kya dil kisi ko yaad karta...

yan tanha tanha rota hai?


Saathi...



hum jee to gaye

par kya jeeya to tere bin jeeya

ek dhun mai banake baitha hun

kabhi tere sath gungunaunga

teri raah dekhta hun......


dont wait for me ...

solitude is all that i can give u

an incomepete song it shall remain

coz the chords u want

i have none....


mera dil mujhse kehta hai....

ke tera lautna nischit hai

kaanon me goonjti hai teri dhadkan

sason me mili juli teri saasen aaj bhi

teri raah dekhta hun...


your heart leis to u

all is mere laughter and jest..

my heart stop beating long time ago....

the beats that u hear all along

i have none....


jhooth na bol......

tere jane se aaj bhi toota hun

par samjhaya apni awaz ko maine

ke usi raste se tum phie lautaga

teri raah dekhta hun....


forbidden is that path ...

i left it and i move in the other direction

where i hear no sounds

the responses and resonsveness u ask for

i have none...


hai shaque to bolta hai kufr mujhe

ke mujhko dukn na ho tere jaane ka

nakamyaab karke tera yeh mansooba

mai wahi pe tere liye ruk ke

teri raah dekhta hun....


yes i lied....

cos uncertain is the path of life

an assurity of life i fail to give

the little joys u ask for

i have none


maine tumse kuchh nahi manga

na khushi na h ghum.....


but i want to give them all to

all that i do not have


to kya hua ...

jo tera wahi mera ghum hi sahi


mai dekhunga tera rastaaa

hope....i have some....

Rasta...




is tarha har lamha guzra

ke dam bhi bhar na sake

rehte hain sooni aakhon se dekhte

tere aane ka rasta


voh aakhri raat yaad aati hai mujhe

jo tere sang btai thi...

bebas hokar mayoos hokar humne dekha

tere aane ka rasta


dam bhara, aahen bhi bhari

raat kati karvaten lekar

chahe tu aaye na aayr main dekhun

tere aane ka rasta


thandi sasen naina hain tarse

ek jhalak to dikha jae

sooni galiyon me bhtakta main

aaja tujhe pyaar ka wasta


tere daman ki khusbu aayi

aai tere kadmon ki aahat

par tu na aya phir bhi

aaja tujhe pyaar ka wasta


ab parchaai se bhi darta hun

itna akela toone hai chhora

raat bhi mujhe dekh ke taras jati hai

shayad tu bhul gaya hai rasta


yeh keh ke main dilasa deta hun dil ko

ke tu aaega mere chahne par

par mayus hokar chup ho jata hun

shayad tu bhul gaya hai rasta


sapne main tu phir bhi ata

par najane kyu aankh khul jaati

aur tera naam meri aakhon se hai behta

tu sach me bhul gaya hai rasta


par main aaj bhikehna chahta hun

bhale tu bhul gaya hai mujhko

maine tumko bhulaya nahi

aaj bhi tera dekhta hun rasta


phir yaad ata hai wo din

jis din tu jaake soya tha

aur thamte nahi hai aasun

main bhi so jaun dekhte tera rasta


itni gehri neend de mujhko koi

ke tujhse phir juda na ho sakun

shayad tab hi ho jayega

hum dono ka ek hi rasta