Wednesday, August 24, 2011

aaj ghar jaane do




jaate jaate kadomon ko na roko

alwida kehte mujhe na toko...

waqt thamta nahi phisala jata hai

mere aashiyana mujhe bulata hai....

teri bandish mujhe kheenche apni or..

na chah ke is ghadi ko deta hun mai tor...

zid na karo kadam badhane do

aaj ghar jaane do


raushani sirf nahi.. raushan karti

kuchh ghar andhere me bhi raushan hote hain...

kuchh baaten bataiyi nahi jaati

kuchh afsaane khamoshi hi bayaan hote hain....

na roko mujhe mai aage nikal chuka hun

takleef hui hai jitni baar bhi mai ruka hun

ek mauka chahiye, mujhe samjaane do

aaj ghar jaane do


hosh hai bhi... aur nahi bhi.......

chain nahi hai .. par hai bhi....

parchhaiyon ko choo jane do...

tanhayin ko rooh me smaane do

mujhe apne paas na aane do...

aaj ghar jaane do....


ghar jane do aaj na bulao mujhko

ghar jaane do aaj na rulao mujhko

ehsaas ke bediya aj tutne do...

tanhaiyi ka sukh mujhe lootne do

thora ho par mera ho

kabhi kabhi mujhe bhi thora roothne do

kuchh tum kaho..kuch mujhe farmane do

aaj ghar jaane do.....


hun na khuch mai tumse alag hokar

tumse door rat kategi rokar...

par jana hai mai na ruk paaunga

aisa kyu , phir kabhi batlaunga

aaj chhor do raat hone ko hai

mere sabr ka saamaan khone ko hai

aaj ki raat mujhe na pachhtaane do

aaj ghar jaane do


Phir kehta hun mujhe na roko

kehta hun mai aaunga

aaj jaane ki zid hai meri

sach kehta hun , kaaran hai, bataunga

bharosa rakkho, mujhe aaj jaana hai

mujhe laut ke tumhare pas hi aana hai

ab mai chata hun, itna keh paane do

aaj gha jaane do.....


No comments:

Post a Comment