Sunday, August 28, 2011

Benaam

ek adhoora panna.....
hain usme kuch baaten likhni baaki
kuchh kisse aur hain sunane

yeh na poocho ke panna adhoora kyu hai
bas tham gyaa hai smaay ki tarha
samjho har aghaaz ka anjaam nahi hota
hai kuchh baathen aur bhi baaki
hai kuch pyar ke rishte na samjhe hue
har mohobbat ka, mohobbat naam nahi hota

is deewanagi ka deewanapan bhi kaisa ajeeb hai
asuon se sab dur bhage, mujhe inse koi gila nahi
kushi se muskurana hi ishq ka ayaam nahi hota
hai thehri ghariyon ka mohtaaj mera waqt...
chalte jana, kisi ko peeche chor, muje na ata
bhul jane ki fitrat ka mohobbat naam nahi hota

Jiske ane ka ilm ho jaye, use muhobbat nahi kehte
jiske jaane ka ilm na ho use mohobbat nahi kehte...
kuch logon ka alfazon me paigaam nahi hota
hai kya bandhna zaroori namon me is dil ki baton ko
kyuki har chahat me muhobbat ho zaroori hai
par har mohobbat me chahat ka naam nahi hota

1 comment:

  1. yeh na poocho ke panna adhoora kyu hai
    bas tham gyaa hai smaay ki tarha
    hai kuchh batein abhi bhi baki
    kuchh riste hai jo kyayamat mein bhi kabhi saath nahi chhora
    sunah hai ki dard ki chhipi aghaaz mein
    har lamha zindagi ban jati hain
    the ek mohabbat dilke koi andhera mein pari
    mohabbat bhi kabhi gomnaam ho jati hai

    ReplyDelete