Tuesday, November 15, 2011

Tumhari Saugaat


Hai zameen par lete lete aaj 
aaj khayal aata mujhe
hai dard zara sa, par achha hai 
yun ke hai to yeh  tumhara hi 

kuch dard hum chah ke bhi na bhula pate 
kuch dard ke sath naate aise jur jaate
hai naata kuch jaise mera tumhara 
apne-pareye se kuchh naate 

hai dard magar mujhe pehchanta to hai 
kya jane ise chhor ke kuchh mile na mile 
diya tumne, tumhari hai nishani 
dard hi sahi,  hai to tumhara hi 

kuchh tum keh gaye, chubha, 
aur mujhe bolne ka mauka na mila 
hai meri ek baat aaj adhuri
bas itna sa maangu main sila 

hai aaj bhi us chubhan ka wasta 
ke tees usthi hai har us waqt 
jab wok baat bhulne ki koshish ki 
chubhti hi sahi, hai to tumhari hi 

is dard se mera nata puaraana hai 
hai dard magar bahut jaana pehchana hai 
khinch parti hai to yaad aata hai 
dard hi sahi , hai to tumhara hi

No comments:

Post a Comment