Boondon bhaari subah me aankh khulne se pehle
yaad aati hai wo meethi meethi awaaz
woh zindagi ko jaishe khush karna sikha rahi ho
ma ki hari hari chooriyan
woh zindagi ko jaishe khush karna sikha rahi ho
ma ki hari hari chooriyan
bachpan me, maa ke roop me khud ko dhalna
ke sochna ki kab banu main bhi sundar
kab ho meri bhi kalaiyan bhari hui
pehne maa jaisi chooriyan
phir na jaane kahan gayee woh awaaz
wo meethi boli chooriyon ki
woh mehfooz ehsaas maa ke haton ka
wo hathon me hari hari chooriya
hai aisa kya bola tha maine
jo ma mujhse rooth gayee
mujhe de ke dooriyan itni
le gayee apni saari chooriyan
ma main tera hun...
hun doosron se kuchh hat ke
par hun to teara hi
tera ansh
jisko tune inta pyaar diya tha kabhi
aaj mera wohi astitva
mere aade aa gaya
maa sa banne ki chah me
maine ma ko hi kho diya
ma main jab bhi rooth jata tha
tujhe yaad hai tu mujhe manati thi
mere chehre ke aas paas
khankathi thi chooriyan
mai to wasie hi manana janta hu
chooriyon se
par tu chali gaye
teri chooriyan hain
par unme khanak nahi
par maine to sirf sach kaha
ki mere andar tujhsa kuchh hai
mai beta sahi tera,
par chahiye mujhe bhi chooriyan
tu gayee
mujhe yun peeche chhor ke
teri hansi se saja hu bachpan dhoondta hun
hathon me leke teri hari hari chooriyan
touched the heart :) esp when u said although u r a lil diff than the rest but u r still her son <3
ReplyDeleteThis is extremely touching, Rahul
ReplyDeleteI could identify with so much of this
*Hug*