Friday, January 13, 2012

tumhare aane ka intezaar


kuchh dil me yaadon ke samundar ki lehre...
khelti hain chhuppan chupai ka khel
jahan tumse chuup ke main hun...
par yehi ummed si lagi hai ...
ke tum jhat se mujhe dhoond lo...
bas chand ghariyan baaki...
baz kuchh hi lamhon ki aur hai guzarish....
hai dil se darkhwast... sabr thora aur kar...
ke tumhara aana hai abhi baaki....
ke yeh samajh paana abhi hai baaki
ho sakta hai ki dam bhar hi na pae...
ho sakta hai sasen kahin ruk na jae
ho sakta hai tumharee aane se duniya hi tham jaye....
ho sakta hai hum phir se muskuraye...

1 comment: