muddaten ho gayee jayse
ik chaadar tale baarish ki baahon ko phailaye
jab tumne mujhe boondon ki unglyon se chhua tha
aaj barse ho bina kisi sankoch ke
jaise tumse meri pyaas dekhi nhai gayi
aur tumne mujhpe apna abr luta diya
taras gayi thi mai tumhare is prem ke liye
is deewanepan bhare sparsh ke liye
is chaader me koi ujala nahi
bas tum ho aur main hun aur thori thori sardi hai
aur tumhaara pagalpan bhara barasta hua apnapan
mudaaten ho gayee jaise
jab shaam or subah ek ho jaise
jub hum dono ke sath gahri bhi chalna bhool jaye
tumhare ujaale me aur mere andhere me koi antan na rahe
jub do char boondon ki taar me tum aur mai bhandh jayen
jaise mere sari dishayen kshitij me shoonya ho jayen
tum bas mujhe usi naam se pukaaro
dhara hun main par sirf tum hi ke liye
kinto ki kitni kuchh hun par tum jante ho
ke bas tum hi ho mere apne mere sachhe
mujhe khud me sama lene wale.... aakaash
awesome, it brings out the pain and love together :)
ReplyDelete