Saturday, November 26, 2011

Tum Samjhe Hi Nahi


tum ne mujhse poocha, takleef hai? 
maine kaha dard hai , takleef nahi 
dono me fark bahut hai 
 tum samjhe hi nahi 

Ek khat likha tha tumko 
sirf chand alfaaz the
par on alfazon ke beech ke khalipan ko 
tum samjhe hi nhai 

kai baar jo dikhta hai wo hota nahi 
safed panne main bhi kai baaten liki hoti hain
tumnhe hi to siikhaya tha magar
tum samjhe hi nahi 

kya tumhe mere khalee khat mein 
boondon ke dastakhat nahi mile?
har boond ka tumse  hi rishta 
tum samjhe hi nahi 

boonden us din bhi thi, aaj bhi hain
us din baarish ki thi.. aaj nahi 
har raat ek hi kissa dohraya tha
 tum samjhe hi nhai 

maine apna ek chota  tukra 
tumhaare sirhaane chhora tha 
par na jane kabhi mujhe apna 
tum samjhe hi nahi

Tuesday, November 22, 2011

ateet ki awaz


Chah paana tumhko mere naseeb me na tha
Na chah paana mere hathon me nahi
Hai ke sirf dorahon pe chalna
Ya ki meri zindagi ka rukh kuch aur
Main Kaafi aage nikal chuka hun

Khali panne si thi meri zindagi
Tumhare dastakhat aaj bhi saaf hain
Tumhaare naam ke syahi ne
Kai  baar mujhe ranga hai
Main wahin aake phir ruka hun

Aaj jab mai aage barh chuka tha
Kya zaroori tha mujhe phirse pukarna
Kyu na mai tumhare sayye se door chala jaun
Chhor ke tumhe peeche
Main badi mushkil se sambhal chuka hun

Tumhari aakhon se aaj bhi utna hi
Dar lagta hai, sehem jata hun
Ke na dekho us nazar se mujhe
Jaise aakhri baar dekha tha
Tumhari zid ke aage har baar jhuka hun

Na thamne ki koshis karo
Tumhara chhoona kuchh ajnabi sa
Lagne laga hai kya karun
Tum bhi ajnabee hi to ho
Tumko bahut door , peeche chor chuka hun

Tuesday, November 15, 2011

Safed Lifafa....



Ek  safed lifafa, khali
Band karke chhor aaya
Na likha koi pata ispe
na hi likh paya  koi naam
Par pata tha kise bheja hai

Na thi ummeed kisi jawaab ki
Par dil se bheja tha
Kalam ki syahi ka rang nahi mil raha tha
Shayad isi liye kuch nahi likha
Aur chhor aaya

Kal jab aank khuli
Subah ke paigaam ke sang wapas aaya
Utna hi safed, utna hi khali lag raha tha
Par maano bahut bhari
Lage anchhua sa, par chhua hua

Darwaaze ke neeche se koi daal gaya hoga
Kaid karke inme kuchh pehchani si yaaden
Kuch jane se lamhe
Thori  khushbu peele phoolon ki
Aur thore se tum.....

Kaanch Ki Chawanni


 hai mili ek saugaat mujhko
choti hai par badi keemti
lage isse mai jag ko loot lun
armano se saji hui 
meri kaanch ki chawanni 

hai aath-dus sapne kharidne
aur do-char khawishen bhi
le jata hun ise main
dil ke kone wali dukaan pe 
meri  kaanch ki chawanni

na mila koi sapna na koi khwaish
lauta hun khaali haath
meri saugat kisi aur ko saugaat na lagi
akl ke wyapaario se thukrayi gayi
meri kaanch ki chawanni

jab mili thi to badi achhi lagi thi
par kisi ko iska mol nahi 
sab kehte hain phenk is kaanch ke kutkre ko
par mere liye sabse achhi 
meri kaanch ki chawanni

Tumhari Saugaat


Hai zameen par lete lete aaj 
aaj khayal aata mujhe
hai dard zara sa, par achha hai 
yun ke hai to yeh  tumhara hi 

kuch dard hum chah ke bhi na bhula pate 
kuch dard ke sath naate aise jur jaate
hai naata kuch jaise mera tumhara 
apne-pareye se kuchh naate 

hai dard magar mujhe pehchanta to hai 
kya jane ise chhor ke kuchh mile na mile 
diya tumne, tumhari hai nishani 
dard hi sahi,  hai to tumhara hi 

kuchh tum keh gaye, chubha, 
aur mujhe bolne ka mauka na mila 
hai meri ek baat aaj adhuri
bas itna sa maangu main sila 

hai aaj bhi us chubhan ka wasta 
ke tees usthi hai har us waqt 
jab wok baat bhulne ki koshish ki 
chubhti hi sahi, hai to tumhari hi 

is dard se mera nata puaraana hai 
hai dard magar bahut jaana pehchana hai 
khinch parti hai to yaad aata hai 
dard hi sahi , hai to tumhara hi

TUM...


seene ke shheshe main aakhon ki oos ki seelan 
dhundla sa kar chuki thi 
jab tumahara aana hua aur tum chhupke se 
dhundle se sheeshe pe 
apna naam like ke chale.....

The gumsum labon se alfaaz mukar chuke 
jab tumne apne hoton se
kuchh alfaas inme bhar daale
maano abr bhar diya ho mujh me 
meri rooh ko kuch apna kar chale...

na tha khud pe ikhtiyaar jab...
tum aaye aur kuchh yun mere kaano mein 
jaise khushi ki phuhaar bhar ke 
musj se mujh ko chura ke
khud se zyada mujhe apna kar chale